Kabhi rat andheri hoti thi...
Kabhi chand bhi gahra dikhta tha,
Jab taron ki barat saji...
Ek saaj bhi mann mein sajta tha.
Jab chandani thi sarmati bahot...
Jab dil ki dhadkan badti thi,
Tab saaj chhida oos kone ka...
Mann ki bhi wo deep jail.
Ujiyara hua ujala hua...
Ghan ke barat si sajti huee,
Jab shehnayee ki dhun mein main...
Mastana thoda hota tha.
Gumraah hua tha oos din main...
Ies din khooshiyan khamosh hi thi,
Main chalta raha khamoshi mein...
Ek halchal tabhi jhanjheet si huee.
Main chonka nahi muskaya jara...
Oos jhanjhat ki tarif kari,
Aaya to sahi sharmaya sahi...
Wo raat andheri hoti rahi.
Gehraayee ki oos ghan mein main...
Aage hi dekha karta raha,
Andhera nahi wo mere liye...
Jazbaton ka sagar tha mera.
Tab sath chala oos paat chala...
Jis paat mein pakhwada nikla,
Sare dhage jajbaton ke...
Mere saath raha main saath raha.
Jis pal main baitha tha aise...
Oos pal thoda khoya khoya tha,
Ies pal main jaise ooth baitha...
Khwabon ke saye se nikla.
Sachchayee mere pehloo mein...
Aayee thi jaise ek pal mein,
Sachchayee ki angan mein main...
Arse se khela karta tha.
Bas yaad mujhe aaya sab kuchh...
Jab raat andheri hoti rahi,
Ies raat ki behki baton se...
Jazbaat bhi meri roti thi.
Kya main oos angan mein aise...
Kabhi bhi khela karta tha,
Ya yaad hai wo pal bas mujhko...
Ek aam sa darshak hota tha.
Chupchap si thi wo raat khadi...
Jab baat main khud se karta raha,
Oos raat ke ghan andhere mein...
Koi saath na mere chalta tha.
Phir kirne jaise aati huee...
Sannatein mein halchal si machi,
Jazbaaton ke andhere mein...
Phir ek nayee subah ki kiran padi.
Ab aankh khuli thi jagte huye...
Tamil main pal ka karta raha,
Khamosh sa main bas ek pal ko...
Ankhon ke nam ko jharta raha.
Tab.... Jab ies subah ko dekh...
Mujhe ek nayee oommeed jagi,
Wo phir se aayegi wo raat...
Jo raat andheri hoti thi.
Kabhi chand bhi gahra dikhta tha,
Jab taron ki barat saji...
Ek saaj bhi mann mein sajta tha.
Jab chandani thi sarmati bahot...
Jab dil ki dhadkan badti thi,
Tab saaj chhida oos kone ka...
Mann ki bhi wo deep jail.
Ujiyara hua ujala hua...
Ghan ke barat si sajti huee,
Jab shehnayee ki dhun mein main...
Mastana thoda hota tha.
Gumraah hua tha oos din main...
Ies din khooshiyan khamosh hi thi,
Main chalta raha khamoshi mein...
Ek halchal tabhi jhanjheet si huee.
Main chonka nahi muskaya jara...
Oos jhanjhat ki tarif kari,
Aaya to sahi sharmaya sahi...
Wo raat andheri hoti rahi.
Gehraayee ki oos ghan mein main...
Aage hi dekha karta raha,
Andhera nahi wo mere liye...
Jazbaton ka sagar tha mera.
Tab sath chala oos paat chala...
Jis paat mein pakhwada nikla,
Sare dhage jajbaton ke...
Mere saath raha main saath raha.
Jis pal main baitha tha aise...
Oos pal thoda khoya khoya tha,
Ies pal main jaise ooth baitha...
Khwabon ke saye se nikla.
Sachchayee mere pehloo mein...
Aayee thi jaise ek pal mein,
Sachchayee ki angan mein main...
Arse se khela karta tha.
Bas yaad mujhe aaya sab kuchh...
Jab raat andheri hoti rahi,
Ies raat ki behki baton se...
Jazbaat bhi meri roti thi.
Kya main oos angan mein aise...
Kabhi bhi khela karta tha,
Ya yaad hai wo pal bas mujhko...
Ek aam sa darshak hota tha.
Chupchap si thi wo raat khadi...
Jab baat main khud se karta raha,
Oos raat ke ghan andhere mein...
Koi saath na mere chalta tha.
Phir kirne jaise aati huee...
Sannatein mein halchal si machi,
Jazbaaton ke andhere mein...
Phir ek nayee subah ki kiran padi.
Ab aankh khuli thi jagte huye...
Tamil main pal ka karta raha,
Khamosh sa main bas ek pal ko...
Ankhon ke nam ko jharta raha.
Tab.... Jab ies subah ko dekh...
Mujhe ek nayee oommeed jagi,
Wo phir se aayegi wo raat...
Jo raat andheri hoti thi.