February 14, 2009

Karwat ki Pehel









Gujarti huyee hawa , Kuchh keh ke ja;
Gungunana tera ab main, samjh nahi pata.
Yaadein bechain karti hain mujhe har pal,
Muskurana tera ab,  nahi samajh aata.

To, batein kar mujhse ab tu,
Ye itrana tera main, samajh nahi pata.

Chehekti huyee lagti tu badi masoom hai,
Isharon ki ada thodi karti mujhe mehroom hai.
Bahane ki baat na kar mujhse tu ab,
Saje hain taar, har din ab har pal.

Ja,  gar ban jaye baat guftgu se,
Par wajah se kashmakash na karna;
Kehna wo baitha hai, tab se, aas me teri,
Intahan ki baat kar mayoos na karna!

Bol tere sunne ko khuli aankhein ooski,
Tare taar bane hain, gunjit;
Parchhayee bhi baadlon ki ab nahi aati,
Ho gayee wo taak me tere, murchhit .

Sun padi hain bahein, ooski leti-leti,
Karwat ki aas me jo, teri taraf;
Mangkar ek muskaan pada, jo hai khoti.
Ki karwat, ab badal jaye;
Bas teri taraf, teri taraf……Teri taraf…..!

3 comments:

Unknown said...

hey, this is beautiful.
keep nurturing your emotions. they are all we have of our own. :)

clueless rebel said...

bakwaas hai

clueless rebel said...

waise its a good poem ... though couldn undesatnd it completely ..need to sit with u one day with a beer in our hands .. then we shall talk in length